MASJID ME ETIKAF -SAHIH MASLE QURAN HADITH | HAQ BAT BAT SAKBE SATH

ASSLAMUILEKUM KESE HO SAB

AAJ KA TOPIC BAHUT HI AHAM HE JO NABI SALLLAHU WASALLAM KI SUNNAT HE LEKIN AAJKAL UMMAT ME AAJKAL BAHUT SE FIQI MASHAIL HE LEKIN JYADATAR JAIF HADITH HE 

AAJ INSHA ALLAH ME QURAN HADITH KI ROSHNI ME HAQ BAT KAHUGA POST PURI PADHE INSHA ALLAH 

EIKAF KA MATLB HE CHIMTNA APNE DUNIYAWI MAMLE CHOR DENA OR BETH JANA 

NABI SALLLAHU WASALLAM KI SUNNAT SARI ZINDGE AMAL KIYA HE 


------------------------------------------------------------------

QURAN SARIF :- ETIKAF KA HUKUM OR FAZILAT 

EIKAF IBRAHIM A.S. KI SUNNAT HE 

IBRAHIM A.S. OR ISLMAIL A.S. SE KAHA KI MERE GHAR  BAITULA MASJID KO PAK  SAF RAKHNA TAWAF KARNE WALO KE LIYE OR ETIKAF KARNE WALO KE LIYE OR RUKU OR SAJDON KARNE K LIYE

SURAH BAKRA AAYAT NO . 125 

APNE BIWIYO KE SATH IJWATI TALUK KAYAM NA KARO JAB TUM ETIKAF PER HO 

SURE BAKRA AAYAT NO . 187  


----------------------------------------------------------------

MASLA :- ETIKAF KI FAZILAT OR EHKAM HADITH ..

HADITH NO . 1 - ETIKAFA KA  BYAN 10 DIN KA 

AAISHA R.A. SE RIWAYAT HE KI NABI SALLLAHU WASALLAM  HAMESHA RAMDHAN KE AAKHRI ASHRE ME 10 DIN KA  ETIKAF FARMAYA 
HATA KI AAPKI WAFAT HO GAI  USHKE BAD AAPKI BIWIYO NE HAR SAL ETIKAF FARMAYA  

SAHIH BUKHARI HADITH NO .2026 
JAME TIRMIZI HADITH NO . 790 SAHIH 
MISQAT HADITH NO .  2097 SAHIH 

NOTE :- YANI MARD OR AURAT DONO KO IZAJAT HE LEKIN POST PADHE 
https://zazaqallahh.blogspot.com/2020/04/aurat-ka-etikaf-sahih-masla-haq-bat.html

HADITH NO . 2-  ETIKAF KA BYAN 20 DIN KA 

ABU HURAIRA NE FARMAYA 
NABI SALLLAHU WASALLAM HAR SAL RAMDAN ME AAKHRI ASRE ME 10 DIN KA ATIKAF FARMATE THE OR EK SAL AAPNE 20 DIN KA ETIKAF FARMAYA 
WO SAL AAPKI WAFAT KI SAL THI 

MISQAT HADITH NO . 2099 SAHIH 
ABU DAWOOD HADIH NO . 2466 SAHIH 

------------------------------------------------

HADITH NO . 3- 20 DIN KA ETIKAF 

ANAS BIN MALIK SE RIWAYAT HE KI NABI SALLLAHU WASALLAM SE EK AAPKA ETIKAF  RAMDAN ME RAH GYA TO AAPNE AGLE SAL 20 DIN KA ETIKAF FARMAYA  

JAME TIRMIZI 803 SAHIH 

----------------------------------------------
HADITH NO . 3 -ETIKAF KA BYAN RAMDAN KE ALWA  

NABI SALLLAHU WASALLAM JAB MASJID ME ETIKAF FARMTE TO HAJRAT AAISHA UNKE LIYE TENT LAGA RHI THI ITNE ME SAYYED HAFSA , NE BHI ARZ KIYA KI WO BHI ETIKAF KAREGI ITNE ME HAJRAT JAINAB NE BHI KAHA 

FIR APP S.W. AAYE OR JALAL ME AAYE KAHA TUM KYA SMJHTE HO YE SAB KHEME (TENT) SAWAB KI NIYAT SE HE USHONE KHEME UKHAD DIYE OR 
SAWAL ME ATIKAF KIYA OR 
NEXT YEAR 20 DIN KA ATIQAF KIYA

SAHIH BUKHARI 2033 2034 

NOTE :- ETIKAF NAFAL HE LEKIN TAKIDI SUNNAT HE ISNKI KAZA TO NHI HE LEKIN AGER KOI KARE TO SAWAB HE BESHAQ 
--------------------------------------------------------

HADITH NO . 4- ETIKAF ME MASJID ME DAKIL HONE KE WAKT KA BYAN

AAISHA .R.A. SE RIWAYAT HE KI NABI SALLAHU WASALLAM 
ATIKAF KE LIYE FAZR KI NAMAZ  KE BAD MASJID ME 20 RAMDAN MUBARAK KO
DAKHIL HO JATE  

TIRMIZI 791 SAHIH 

---------------

IMAM TIRMIZI NICHE LIKHTE HE SATH ME 
FAZR KE WAKT DAKHIL HONA AHMAD BIN HAMBAL OR ISAQ BIN IBHRAHIM 

OR 
ASAR SUN SET SE PAHLE MAGRIF SE PAHLE MASJID ME YE AMAL  

SUFFIYAN AL THAWRI 
MALIK BIN ANAS 

SHAIKH ZIBAIR ALI ZAI LIKHTE HE KI ABU HANIFA , IMAM SHAFI, OR IMAM MALIK INKA YAHI AMAL HE  HE KI SUN SET MAGRIF SE PAHLE PAHLE 20 VE RAMDAN KO DAKIL HO JAO OR 21 NIGHT MASJID ME SURUWAT KARO 
AHMAD BIN HAMBAL KA BHI YAHI AMAL HE OR ISH PER IJMA HE 

-----------------------------------------
HADITH NO . 5 - SABE KADAR KI RAAT OR 30 DIN EIKAF KA BAN 

EK BAR NABI SALLAHU WASSLAM NE 
PAHLE 10 DIN KA ETIKAF KIYA 
FIR AGLE 10 DIN KA ETIKAF KIYA  

FIR UNHONE JIBRAHIL .A.S. WAHI LEKAR AAYE 

SABE QADAR KI RAT KO AAKHRI ASRE ME TAK RATO ME DUNDO 

SAHIH BUKHARI 2027 
SAHIH MUSLIM 213 -1167
JAME TIRMIZI HADITH NO . 792 SAHIH 
MISQAT HADITH NO . 2086 SAHIH 

----------------------------------------------------

HADITH NO . 6-  EIKAF ME MASJID SE BAHAR JANE KA MASLA 

NABI SALLLAHU WASALLAM JAB MASJID ME EKTIKAF FARMATE TO 
MASJID KI KHIDKI SE UJRE KI TRAF APNA SIR WAHA KAR DETE OR AAISHA .R.A. UNKI  BALO (HAIR ) ME KANGHI KARTE JAB ME HAZ SE HOTI 
WO TABE JARURAT K WAKT GHAR BHI AAJATE THE  
  
SAHIH BUKHARI 2028-29 
TIRMIZI 804 SAHIH  

TABE JARURART :- JARURAT WALE KAM NAHANA KHANA PEEENA BATHRROM AGER MASJID ME NHI HO TO JAIZ HE 


1. GUSL KAR SAKE HE , 
2.WADHU KHANA FINAMA MASJID ME SAMIL HE 
3. KAPDE CHANGE NAHANA 
FATAWA RIJVIYA ME AHMAD RAZA BARALVI KA FATWA 


JAME TIRMIZI HADIH NO . 805 KI SARAH ME IMAM TIRMIZI LIKHTE HE 

ETIKAF WALA SAKSH 

1. BIMAR SE MILE JA SAKTA HE 
2. JANAZE ME SAMIL HO SAKTA HE AGER KISI SE BICH ME BAT NA KARE
3. JUMA KI NAMAZ DUSHRI MASJID ME AGER USH MASJID ME NA HO TO 

YE AMAL 
SUFFIYAN AL THAWRI 
IBNE AL MUBHARAK 


LEKIN 
IMAM MALIK AHMAD BIN HAMBAL OR IMAM SHAFI KA AMAL

KI JANAZA OR BIMAR AADMI OR JUMA KI NAMAZ DUSHRI MASJID ME INKA AMAL NHI THA 

LEKIN TAIBAN KE FATWE HE 

JUMA KI NAMAZ , JANAZA OR BIMAR AADMI SE MILNE 

MUSSNAF IBNE ABHI SHIBA BAAB ETIKAF ME 

--------------------------------------------------------------

HADITH NO . 7 MASJID SE BAHAR JARURAT K WAKT 

NABI SALLLAHU WASALLAM JAB MASJID ME ETIKAFA KI HALAT  TO UNSE UNKI BIWI MILNE AAI RAT KE WAKT FIR NABI SALLLAHU WASALLAM UNHE CHORNE GHAR TAK GAYE 

BICH ME ANSRI SAHABI KADE THE OR GUFTUFU KAR RAHE HE 

TO NABI SALLLAHU WASALLAM 
NE KAHA KISI KO SOCHNE KI JARURAT NHI MERI BIWI THI  JISE CHORNE GYE THA ME 
MUJHE KATTRA HUWA KI SETAN KAHI TUMHE WASWE NA DAL DE 


SAHIH BUKHARI HADITH NO .  2035 

--------------------------------------------------------------
HADITH NO . 8 MASJID ME CHARPAI BISTAR 

ETIKAF ME MASJID ME 
TOBA KA SATUN BISTAR OR CHARPAI MASJID E NAVWI
SAHABA RAKHA DIYA KARTE THE  


IBNE MAJA HADITH NO . 1774 HASAN 

----------------------------------------------------------------

HADITH NO . 9 EK DIN KA ETIKAF 

IBNE UMAR NE NABI SALLLAHU WASALLAM SE PUCHA 
MENE APNI NAZAR KI HE KI AGER YE PURI HUWI TO ME MASJID -E- HARAM ME  EK DIN EK RAAT KI NAZAR KI HE TO NABI SALLLAHU WASALLAM NE FARMAYA USE PURI KARO 

SAHIH BUKHARI HADITH NO . 2032  

--------------------------------------------------------------------

KUCH JUTH MASHUUR HE INKA TAHKIKI JAIZA


1. SHAIKH ALBANI NE 
    ETIKAF SIRF 3 MASJID ME JAIZ KIYA

    SUNNAN AL KUBRA IMAM BAHHIKI KI RIWAYAT KO SAHIH KAHA HE 

JO JHALI HE OR SUFFIYAN BIN UAYNA MUDHLSIH HE SHAMA KI TASHRI NHI HE

ISSH PER IJMA HE KI KISI BHI MASJID ME HO JAYEGA   


--------------------------------------------------------------------
ASSLAMUILEKUM MENE HAQ BAT BYAN KI SABHI SAHIH HADITH KI ROSHNI ME 
INSHA ALLAH SABHI ETIKAF KARE 

OR AURTO KA ETIKAF KA MASHLA HE TO WO POST PADHE 
https://zazaqallahh.blogspot.com/2020/04/aurat-ka-etikaf-sahih-masla-haq-bat.html

NAMAZ KAYAM KARE HAQ BAT KAHE OR ZAQAT DE ROZA RAKHE RAKHE 

AAMIN

----------------------------------------------------------------

Popular Posts