ASHURA 10 MUHARRAM KA ROZA - NAFLI ROZA | ZAZAQ ALLAH HAQ BAT SABKE SATH

ASSLAMUILEKUM ....WARAM TULLAHE WA BARKATTU ...

NAMAZ KAYAM KARE ROZA RAKHE HAQ BAT OR NEK BAT KA HUKUM DE ZAQAT DE SABHI MILKAR PYAR SE RAHE 
--------------------------------------------------------------

AASHURA KA ROZA -10 MOHARRAM KI FAZILAT OR EHKAM 

HADITH NO. 1 MOHARRAM MAHINE KI FAZILAT 

ABU HURAIRA SE RIWAYAT HE KI NABI SALLAHU WASALLAM NE FARMAYA KI RAMDAN KE BAD SABSE AFZAL MAHINA MOHARAM HE OR NAMAZE FAZR KE BAD RAT KI NAMAZ TAHJJUD HE 

SUNNAN ABHI DAWOOD HADITH NO . 2429 SAHIH 

----------------------------------------

HADITH NO. 2 AASHURA KE ROZE KA HUKUM 

IBNE AABAS SE RIWAYAT HE KI NABI SALLAHU WASALLAM SE PUCHA HAM AASHURA KA ROZA KYU RAKHTE HE TO UNHONE FARMAYA KI 
YE ACHA DIN HE ISH DIN 
ISH DIN BANI ISHRAIL KO DUSHMANO SE NIJAT DI THI 
MUSSA.A.S. NE BHI ROZA RAKHA 
CHUKI NABI SALLAHU WASALLAM NE ROZA RAKHA OR HAM SABKO ISHKA ROZA RAKHNE KA HUKUM DIYA 

SAHIH BUKHARI HADITH NO . 2004 

----------------------------------------

HADITH NO. 3 AASHURA KE ROZE KA SAWAB

ABU QATADA SE RIWAYAT HE KI NABI SALLAHU WASALLAM NE FARMAYA JISNE AASHURA KA ROZA RAKHA USHKE EK SAL KE GUNAH ALLAH TALA MAF KAR DETA HE 

JAME TIRMIZI HADITH . NO 752 SAHIH 

IMAM TTIRMIZI NICHE LIKHE HE YE HADITH 
HAJRAT ALI 
MUHAMMAD BIN SAIFL 
SALAMAH BIN AL-AKWA 
HIND BIN ASMA 
IBNE ABBAS
AR RUBAYYL BIN MUAWWIDH BIN AFRA 
ABDUL RAHMAN BIN SALAMAH AL-KHUZAL 
ABDULLAH BIN ZUBAIR 
 SE BHI MARWI HE 

AAGE WO LIKHTE HE YE HI MOQIF OR AMAL AHMAD BIN HAMBAL OR ISAQ KA HE 

----------------------------------------

HADITH NO. 4

NABI SALLAHU WASALLAM AASHURA KE DIN ROZA RAKHA KARTE THE 

SAHIH BUKHARI HADITH NO . 2000

----------------------------------------

HADITH NO. 5

IBNE ABBAS SE RIWYAT HE KI NABI SALLAHU WASALLAM NE HAME AASHURA KA ROZA 10 MOHARRAM KO ROZA RAKHNE KA HUKUM DIYA 
HAMNE E ALLAH KE RASUL ISH 
DIN TO YAHUDI OR NASARA BHI ROZA RAKHTE HE 
TO UNHONE FARMAYA AGLI SAL HAM 9' MOHARRAM KO ROZA RAKHEGE 
CHUKI AGLI SAL AAP DUNIYA SE PARDA FARMA GYE (WAFAT)

SUNNAN ABI DAWOOD HADITH NO . 2445 SAHIH
JAME TIRMIZI HADITH NO . 755 KI SARAH

IMAM TIRMIZI FARMATE HE KI YE MOQIF KI ROZA 9-10 MOHARRAM KO ISHPER AMAL 
AMHAD BIN HAMBAL 
MOLANA ISHAQ
IMAM SHAFI 

---------------------------------------- 

HADITH NO. 6

AASIHA R.A. SE RIWAYAT HE KI NABI SALLAHU WASALLAM ASHURA KA ROZA RAKHA KARTE THE OR HAME HUKAM DIYA LEKIN JAB RAMDAN FAZR HUWA TO ASHURA KA ROZA NAFLI HO GYA 
AB JO KOI CHAHE TO RAKHE OR JO KOI NA CHAHE NA RAKHE 

SAHIH BUKHARI HADITH NO . 2001 
JAME TIRMIZI HADITH NO . 753 SAHIH 

IMAM TIRMZI LIKHTE HE KI YE HADITH 

JABIR BIN SAMURAH 
IBNE UMAR 
IBNE MASOOD 
QAIS BIN SHAAD
HAJRAT MAWIYAH 

SE BHI MARWI HE 

SATH HI LIKHTE HE YE HADITH SAHIH HE OR WO KISI KO BHI ORDER NHI DETE THE KI ROZA RAKHO HA JO KOI SAWAB KI NIYAT SE RAKHNA CHAHE WO RAKH SAKTA HE 

----------------------------------------

SABHI SE GUZARISH HE YE SUNNAT JARUR AADA KARE INSHA ALLAH 
ALLAH TALA HAM SAB KE GUNAH MAF KARE OR HAME MIL JUL KAR RAHE KI TPOFIK AATA KARE 

OR SABHI HAJRAT SE EK OR GUZARISH HE KI AAPAS ME NA LADE JISE NABI SALLAHU WASALLAM KI JITNI SUNNAT SE MOHABBAT HE WO UTNI USH PER AMAL KARE 

PYAR SE RAHE MOHBBAT SE RAHE MIL KAR RAHE 

HAQ BAT SABKE SATH

------------------------------------------------------------------------



Popular Posts