RAFA -UL-YADAIN --ABDULLAH BIN UMAR | HAQ BAT SABKE SATH
NOTE:- SABHI HAZRAT SE GUZARISH HE "NAMAZ KAYAM KARE" FIRQAPARSTI ME NA ULJHE YE BAT YA POST SIRF HAQ BTANE K LIYE "LAST ME JARUR PADHE"
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
MASLA RAFA UL YADAIN - ABDULLAH BIN UMAR (RAZ)
HADITH NO. 1
Salim bin `Abdullah se riwayat he
Sahabi Hizrat Abdullah Bin Umar (R.U) farmate hai:
Rasoolullah S.A.W Namaz ke shuru me, rakoo se pehle aur raku ke baad apne donoun haath kandhoun tak uthaya karte thai.
SAHIH BUKHARI 735,736,738
-------------------------------------------------------------------------------------------------
ABDULLAH BIN UMAR RAQU JATE RAFA UL YADAIN KA JIKAR NHI
HADITH NO.2
Salim bin `Abdullah se riwayat he
Sahabi Hizrat Abdullah Bin Umar (R.U) farmate hai:
Rasoolullah S.A.W namaz ke sharoo me, raku ke baad apne donoun haath kandhoun tak uthaya karte thai.
MUWATTA MALIK BOOK NO. 3 HADITH NO. 163
NOTE:- DONO HADITH SAME HE SAME SANAD LEKIN MUWATTA IMAM MALIK ME RAQU JATE RAFA UL YADAIN KA JIKAR NHI HE
--------------------------------------------------------------------------------------------------
ABDULLAH BIN UMAR RAFA UL YADAIN NHI KARTE
HADITH NO.3
Salim bin `Abdullah se riwayat he
Hazrat Abdullah Bin Umar (Raz.) Bayaan Farmaate Hai Ke Maine Rasool Ullah SAW Ko Dekha Ke Jab Aap SAW Ne Namaz Shuru Farmaayi Toh Haato Ko Kaandho Tak Utaaya Aur Ruku Me Jaate Waqt Aur Ruku Se Uthte Waqt Aap Saw Ne Haat Nahi Utaaye Aur Dono Sajdo Ke Darmiyaan Bhi Haat Nahi Utaaye.
[Musnad Al-Humaydi 277/2 , Hadees 614( KUCH ME 643 ) , Saheeh Abu Awwaana : Jild 1 : 90 ISHME 6 HADITH HE )
NOTE:- KUCH LOG KAHTE HE KI ABDULLA BIN UMAR SE RAFA UL YADAIN KARNA SABIT HE LIHAZA YE HADITH JHALI HE " HA APNE MATLB KI NHI H ISHLIYE JHALI HE " SANAD TO BUKHARI MUSLIM KI H
--------------------------------------------------------HADITH NO.4
ABU KABAR BIN AYAASH >> HUSSAIN >>MUJAHID
ABDULLAH BIN UMAR JAB NAMAZ SURU KARTE TO RAFUL-YADAIN KARTE
FIR RAQU JATE OR RAQU SE APNA SIR UTHTAE RAFUL-YADAIN NHI KARTE
JUZZ -RAFUL-YADAIN HADITH NO . 16
MUSSNAF IBNE ABHI SHIBA HADITH NO . 2452
SIQA RAVI OR SANAD BUKHARI MUSLIM
FIRQAPARAST KI JARAH :- IBNE UMAR SE RAFUL-YADAIN KARNA SABIT HE TO YE HADITH SIRF WAHAM HE OR KUCH NHI YA HO SAKTA HE
JESE NAMAZ ME HAM KUCH BHUL JATE HE HO SAKTA HE ESA
ANTIVENOUM :- AAPKE MATLB KI HADITH NA HO TO AAP KUCH BHI BAK DOGE
IMAM BHUKHARI KAHTE THE "YAHYA BIN MAEEN OR AHMAD BIN AHMBAL NE ISE ABU BAKAR BIN AAYYASH KI ISH HADITH KO SAHI NHI KAHA KAHA YE UNKA WAHAM HE "
HALAKI YE BAT IMAM BUKHARI SE SABIT NHI
JUZZ RAFUL YADAIN IMAM BUKHARI KE SAGIRD NE LIKHI HE
AGER ABHU BAKAR BIN AAYAASH JAIF RAVI HE TO SAHIH BUKHARI ME RAVI KESE FIR
ABU BAKAR BIN AAYAASH SAHIH BUKHARI KE RAVI HE
EK MISSAL
SAHIH BUKHARI HADITH NO .1654
HAQ BAT :- HO SAKTA HE FIRQAPARAST YE KAH DE KI SAHIH BHUKHARI KI SIRF UNKE MATLB KI HADITH HI SAHIH HOTI HE BAKI JAYE BHAD ME
--------------------------------------------------------------------------------------------
ABDULLAH BIN UMAR KI HADITH PER ABU DAWUD
HADITH NO 5.
NAFI SE RIWAYAT HE
Hazrat Abdullah Bin Umar (Raz.) Bayaan Farmaate Hai Ke Maine Rasool Ullah SAW Ko Dekha Ke Jab Aap SAW Ne Namaz Shuru Farmaayi Toh Haato Ko Kaandho Tak Utaaya Aur Ruku Me Jaate Waqt Aur Ruku Se Uthte Waqt Aap Saw Ne Haat Nahi Utaaye Aur Dono Sajdo Ke Darmiyaan Bhi Haat Nahi Utaaye.
jub 2 rakaat parh kar kharey hotey to rafa yadain kartey the
SAHIH BUKHARI HADITH NO .739
ISI HADITH KO ABU DAWUD NE KAHA YE HADITH ABDULLAH BIN OMAR KA APNA AMAL HE
ABU DAWUD HADITH NO. 741
--------------------------------------------------------------------------------------------
Hazrat Abdullah Bin Omer Rdh. ki Sajdo me Rafe-yadain
HADITH NO .6
HAJRAT NAFI FARMATE HE KI
ABDULLA BIN UMAR JAB PAHLE SAJDE SE APNA SIR UTHATE TO RAFA UL YADAIN KARTE THE
Musannaf Ibn Abi Shaiba : Jild 1 : Safa 266 HADITH NO.2812
Juzz raful-yadain hadith no . 81-82-83
NAMAZ E NABI
SAHIH BY SHAIKH ALBANI
SHAIKH ALBANI NE BAHUT SE SAHABA TAIBAIN SE SABIT KIYA H KI DO SAJDO KE DARMIYAN BAHUT SE SAHABAI KA AMAL THA
Allamah Ibn-E-Taymiyah (Rah.) Ka Fatwa:-
“Namaz Parhne Wala Rafaul-Yadain Kare Ya Na Kare Is Se Namaz Me Koi Kharabi Nahi Aayegi Aur Na Namaz Baatil Hogi.” [Majmua’ Fatawa ]
-------------------------------------------------------------------------------------------
Asslamuilekum
hamara maqsad kisi firqe ko support karne ka nhi h sirf haq bat btane ka he jo baba ji apni Awam se chupate he
sabhi Hajrat se guzarish he ki aaps me mil jul kar rahe or fiqi masle sab ke apne he sab ko apna hisab dena he nek kam kare ache kam kare mohbbat se rahe sabhi
"Namaz kayam kare ,Ache Amal kare, Jaqat de, garibo ki madat kare "
AB RAHA MASLA KISKI NAMAZ AFZAL HE TO PLEASE ALLAH JANE YE MAMLA ALLAH KE PASS HE AAPAS ME MOHBBAT OR PYAR SE RAHO