EID KI NAMAZ KA TARIKA OR EID KI FAZILAT -HAQ BAT SABKE SATH |ONLY QURAN HADITH

ASSLAMUILEKUM ....WARAM TULLAHE WA BARKATTU ...

NAMAZ KAYAM KARE ROZA RAKHE HAQ BAT OR NEK BAT KA HUKUM DE ZAQAT DE SABHI MILKAR PYAR SE RAHE 

--------------------------------------------------------
MASLA :- EID KE DIN SUNNAT AZZKAR  

IBNE ABBAS OR IBNE UMAR SE RIWAYAT HE KI 
NABI SALLALLAHU WASSALLAM NE FARMAYA JUMA KA DIN EID KA DIN HE 

IBNE MAJAH HADITH NO . 1098 HASAN
IBNE MAJAH HADITH NO . 1312 HASAN 

NOTE:- EID OR JUMA K DIN FAZILAT K LIYE HE 

SALMA FARSI R.A. SE RIWAYAAT HE KI 
NABI SALLALLAHU WASSALLAM NE FARMAYA KHUB PAKI HASIL KARO 
GUSAL KARO 
KHUSHBU LAGAO 

SAHIH BUKARI HADITH NO . 910

NABI SALLALLAHU WASSALLAM EID KE DIN MASJID JANE SE PAHLE GUSAL FARMAYA KARTE THE 

MUWATTA IMAM MALIK HADITH NO . 432 SAHIH GOLDEN CHAIN (SUNNAN.COM)
--------------------------------------------

MASLA :- EID-UL-FITR OR EID-UL-ZUHA KI AAZAN KA MASLA

IBNE ABBAS OR JABIR BIN ABDULLAH SE RIWAYAT HE KI 
NA TO EID-UL-FITR KI AAZAN HOTI HE NA HI EID-UL-ZUHA KI 

SAHIH BUKHARI HADITH NO .960 (957)
JAME TIRMIZI HADITH NO . 532 SAHIH 

IMAM TIRMIZI KI HADITH ME SATH ME NA HI IQAMAT HOTI THI KE BHI ALFAZ HE 

SATH ME IMAM TIRMIZI FARMATE HE KI 
BAHUT SE SAHABA TAIBAN KA AMAL THA KI NAFLI NAMAZ KI BHI AZAN NHI DETE THE 
--------------------------------------------

MASLA :- EID KI NAMAZ SE PAHLE KUCH KHANE KA MASLA 

ANAS BIN MALIK R.A. SE RIWAYAT HE KI 
NABI SALLALLAHU WASSALLAM EID KE DIN NAMAZ PADHNE JANE SE PAHLE KAJUR(DATES) NA KHA LETE TAB TAK NAMAZ KE LIYE NHI  
OR WO TAK (ODD) HOTI THI 

SAHIH BUKHARI HADITH NO . 953 
--------------------------------------------

MASLA :- KHUTBA SE PAHLE EID KI NAMAZ 

IBNE ABBAS R.A. SE RIWAYAT HE KI MENE
NABI SALLALLAHU WASSALLAM, ABU BAKAR SIDDIK ,UMAR BIN KATTTAB ,USMAN R.A. KE SATH EID KI NAMAZ PADHI 
INHONE KHUTBA NAMAZ KE BAD DIYA KARTE THE 

SAHIH BUKHARI HADITH NO . 962 
SAHIH BUKHARI HADITH NO . 963 
MUWATTA IMAM MALIK HADITH NO . 433 SAHIH
JAME TIRMIZI HADITH NO . 531 SAHIH 

IMAM TIRMIZI NE KAHA YE HADITH HASAN SAHIH HE 
SABHI KA AMAL YHI THA KI KHUTBA NAMAZ KE BAD HO PAHLI BAD NAMAZ SE PAHLE MARWAN BIN AL HAKAM NE DIYA THA 

NOTE :- SUNNAT YE HE KI EID KI NAMAZ KE BAD KUTBA HO 

GOVRN OF MADINA MARWAN NE JAB EID SE PAHLE KHUTBA DIYA ABU SAID AL KHUDRI NE UNHE ROKA LEKIN UNHONE KAHA KI LOG EID KI NAMAZ KE BAD CHALE JATE HE 

SAHIH BUKHARI HADITH NO . 956 

--------------------------------------------

MASLA :- EID SE PAHLE OR BAD KOI BHI NAMAZ NHI 

IBNE ABBAS R.A. SE RIWAYATT HE KI 
NABI SALLALLAHU WASSALLAM EID KE DIN 2 RAQAT NAMAZ PADHTE THE 
LEKIN IS SE PAHLE OR BAD ME NHI PADHA KARTE THE 

SAHIH BUKHARI HADITH NO . 964 ,989 
--------------------------------------------

MASLA :- EID KE DIN RASTA BADAL KAR JANE KA BYAN 

JABIR BIN ABDULLAH SE RIWAYAT HE KI 
NABI SALLALLAHU WASSALLAM JAB EID KA DIN HOTA TO RASTE BADLA KARTE THE 
YANI EK RASTE SE AATE DUSHRE SE JATE 

SAHIH BUKHARI HADITH NO . 986

--------------------------------------------------------

EID KI NAMAZ ME KITNI TAKBEER HAQ BAT 

MASLA :- 12 TAKBEER NAMAZ TWO EID 

NABI SALLALLAHU WASSALLAM JAB EID KI NAMAZ PADHATE TO 
PAHLI RAQAT ME 7 TAKBEER QIRAT SE PAHLE 
DUSHRI RAQAT ME 5 TAKBEER QIRAT KE BAD KARTE HE 

JAME TIMRIZI HADITH NO . 536 HASAN 

IMAM TIRMIZI NE BHI ISH HADITH KO HASAN FARMAYA HE 
YE AMAL BAHUT SE SAHABA OR ALHE ILM KA PER ISHKA AMAL THA

ABU HURAIRA KI HADITH BHI MARWI HE UNHONE ALHE MADINAH ME NAMAZ PADHAI 12 TAKBEER SE 

MALIK BIN ANAS ,
IMAM SHAFI 
IMAM AHMAD BIN AMBAL 
IMAM ISAQ 
OR ALHE MADINAH KA YHI QUAL THA 

IBNE MASOOD SE BHI 9 TAKBEER NAMAZ-E- EID MARWI HE 
IBNE MASOOD 5 TAKBEER QIRAT SE PAHLE 
DUSHRI RAQAT ME QIRAT KE BAD 4 TAKBEER KAHTE THE JISME RAQU BHI SAMIL THA 

BAHUT SE SHAHABA OR ALHE KUFA OR SUFFIYAN AL THAWRI KA YHI QUAL THA 

IMAM MALIK SE NAFE NE UNSE ABDULLAH BIN UMAR SE 
UNHONE ABU HURAIRA KE PICHE EID KI NAMAZ PADHI UNONE NAMAZ ME
PAHLI RAQAT ME 7 TAKBEER 
DUSHRI RAQAT ME 5 TAKBEER KAHI 

MUWATTA IMAM MALIK HADITH NO . 439 GOLDEN CHAIN 
--------------------------------------------

MASLA :- 8 TAKBEER  NAMAZ-E-EID  

HAJRAJ AAISHA R.A.SE RIWAYAT HE KI SAYED BIN AAS NE APNE ABHU MUSA ASHRI OR HUZEFA BIN YAMAN SE PUCHA KI 
NABI SALLALLAHU WASSALLAM EID-UL-FITR OR EID-UL-AZZA PER KITNI TAKBEER SE NAMAZ PADHATE THE 
ABU MUSSA ASHRI NE KAHA 4 TAKBEER JESE JANAZA ME HOTI HE 
HUZEFA NE KAHA UNHONE SACH KAHA 
ABU MUSSA NE KAHA KI JAB ME BASRA ME LOGO PER AMIR THA TO ISI PARKAR TAKBEER KAHA KARTA THA 

SUNNAN ABHI DAWOOD HADITH NO . 1154 SAHIH (HASAN -SAHIH BY SHAIKH ALBANI ) 

ISH HADITH KI EK DUSHRI SANAD IBNE MASOOD R.A. SE BHI MARWI HE 

MUSSNAF ABDUL RAZZAQ HADITH NO . 5687 
SAHIH BY 
MULLA ALI QARI 
IMAM HASMI 
IMAM HAJR ASQALNI 


HAJRAT ABDULLAH BIN MASOOQ R.A.
NAMAZ-E-EID ME 9 TAKBEER KAHA KARTE THE 
PAHLI RAQAT ME 5 TAKBEER 
OR DUSHRI RAQAT ME 4 TAKBEER KAHA KARTE THE 

JAME TIRMIZI HADITH NO . 536 KI SARAH 
ISHKI SANAD MUSSNAF IBNE ABI SHIBA ME MOUJD HE 

MUSSNAF IBNE ABHI SHIBA HADITH NO . 5746-5747 
MUSSNAF ABDUL RAZZAQ HADITH NO . 5689 SAHIH BY IMAM HAJR ASQLANI 

--------------------------------------------------------------------

ASSLAMUILEKUM 

ILLMI POINT'S 

1. TAKBEER KAHNA SUNNAT HE 12-9 YA 8 SUNNAT SE MOHBBAT RAKHE AAPAS ME NA LADE 

2.JANAZA ME 4 TAKBEER  
JAME TIRMIZI HADITH NO . 1022 ME

JANAZA KI NAMAZ ME 5 TAKBEER 
JAME TIRMIZI HADITH NO . 1023 

IMAM AHMAD OR ISAQ KAHTE HE KI IMAM KO FOLLOW KARO   

3. IMAM KO FOLLOW SE MURAD AGER AMAL QURAN HADITH KI ROSHNI ME SABIT HONA CHAHIYE 

4. YHA SABIT HE 12-9-8 TAKBEER ---------------------------------------------------------

Popular Posts