EID KI NAMAZ KA TARIKA OR EID KI FAZILAT -HAQ BAT SABKE SATH |ONLY QURAN HADITH

ASSLAMUILEKUM ....WARAM TULLAHE WA BARKATTU ...

NAMAZ KAYAM KARE ROZA RAKHE HAQ BAT OR NEK BAT KA HUKUM DE ZAQAT DE SABHI MILKAR PYAR SE RAHE 

--------------------------------------------------------
MASLA :- EID KE DIN SUNNAT AZZKAR  

IBNE ABBAS OR IBNE UMAR SE RIWAYAT HE KI 
NABI SALLALLAHU WASSALLAM NE FARMAYA JUMA KA DIN EID KA DIN HE 

IBNE MAJAH HADITH NO . 1098 HASAN
IBNE MAJAH HADITH NO . 1312 HASAN 

NOTE:- EID OR JUMA K DIN FAZILAT K LIYE HE 

SALMA FARSI R.A. SE RIWAYAAT HE KI 
NABI SALLALLAHU WASSALLAM NE FARMAYA KHUB PAKI HASIL KARO 
GUSAL KARO 
KHUSHBU LAGAO 

SAHIH BUKARI HADITH NO . 910

NABI SALLALLAHU WASSALLAM EID KE DIN MASJID JANE SE PAHLE GUSAL FARMAYA KARTE THE 

MUWATTA IMAM MALIK HADITH NO . 432 SAHIH GOLDEN CHAIN (SUNNAN.COM)
--------------------------------------------

MASLA :- EID-UL-FITR OR EID-UL-ZUHA KI AAZAN KA MASLA

IBNE ABBAS OR JABIR BIN ABDULLAH SE RIWAYAT HE KI 
NA TO EID-UL-FITR KI AAZAN HOTI HE NA HI EID-UL-ZUHA KI 

SAHIH BUKHARI HADITH NO .960 (957)
JAME TIRMIZI HADITH NO . 532 SAHIH 

IMAM TIRMIZI KI HADITH ME SATH ME NA HI IQAMAT HOTI THI KE BHI ALFAZ HE 

SATH ME IMAM TIRMIZI FARMATE HE KI 
BAHUT SE SAHABA TAIBAN KA AMAL THA KI NAFLI NAMAZ KI BHI AZAN NHI DETE THE 
--------------------------------------------

MASLA :- EID KI NAMAZ SE PAHLE KUCH KHANE KA MASLA 

ANAS BIN MALIK R.A. SE RIWAYAT HE KI 
NABI SALLALLAHU WASSALLAM EID KE DIN NAMAZ PADHNE JANE SE PAHLE KAJUR(DATES) NA KHA LETE TAB TAK NAMAZ KE LIYE NHI  
OR WO TAK (ODD) HOTI THI 

SAHIH BUKHARI HADITH NO . 953 
--------------------------------------------

MASLA :- KHUTBA SE PAHLE EID KI NAMAZ 

IBNE ABBAS R.A. SE RIWAYAT HE KI MENE
NABI SALLALLAHU WASSALLAM, ABU BAKAR SIDDIK ,UMAR BIN KATTTAB ,USMAN R.A. KE SATH EID KI NAMAZ PADHI 
INHONE KHUTBA NAMAZ KE BAD DIYA KARTE THE 

SAHIH BUKHARI HADITH NO . 962 
SAHIH BUKHARI HADITH NO . 963 
MUWATTA IMAM MALIK HADITH NO . 433 SAHIH
JAME TIRMIZI HADITH NO . 531 SAHIH 

IMAM TIRMIZI NE KAHA YE HADITH HASAN SAHIH HE 
SABHI KA AMAL YHI THA KI KHUTBA NAMAZ KE BAD HO PAHLI BAD NAMAZ SE PAHLE MARWAN BIN AL HAKAM NE DIYA THA 

NOTE :- SUNNAT YE HE KI EID KI NAMAZ KE BAD KUTBA HO 

GOVRN OF MADINA MARWAN NE JAB EID SE PAHLE KHUTBA DIYA ABU SAID AL KHUDRI NE UNHE ROKA LEKIN UNHONE KAHA KI LOG EID KI NAMAZ KE BAD CHALE JATE HE 

SAHIH BUKHARI HADITH NO . 956 

--------------------------------------------

MASLA :- EID SE PAHLE OR BAD KOI BHI NAMAZ NHI 

IBNE ABBAS R.A. SE RIWAYATT HE KI 
NABI SALLALLAHU WASSALLAM EID KE DIN 2 RAQAT NAMAZ PADHTE THE 
LEKIN IS SE PAHLE OR BAD ME NHI PADHA KARTE THE 

SAHIH BUKHARI HADITH NO . 964 ,989 
--------------------------------------------

MASLA :- EID KE DIN RASTA BADAL KAR JANE KA BYAN 

JABIR BIN ABDULLAH SE RIWAYAT HE KI 
NABI SALLALLAHU WASSALLAM JAB EID KA DIN HOTA TO RASTE BADLA KARTE THE 
YANI EK RASTE SE AATE DUSHRE SE JATE 

SAHIH BUKHARI HADITH NO . 986

--------------------------------------------------------

EID KI NAMAZ ME KITNI TAKBEER HAQ BAT 

MASLA :- 12 TAKBEER NAMAZ TWO EID 

NABI SALLALLAHU WASSALLAM JAB EID KI NAMAZ PADHATE TO 
PAHLI RAQAT ME 7 TAKBEER QIRAT SE PAHLE 
DUSHRI RAQAT ME 5 TAKBEER QIRAT KE BAD KARTE HE 

JAME TIMRIZI HADITH NO . 536 HASAN 

IMAM TIRMIZI NE BHI ISH HADITH KO HASAN FARMAYA HE 
YE AMAL BAHUT SE SAHABA OR ALHE ILM KA PER ISHKA AMAL THA

ABU HURAIRA KI HADITH BHI MARWI HE UNHONE ALHE MADINAH ME NAMAZ PADHAI 12 TAKBEER SE 

MALIK BIN ANAS ,
IMAM SHAFI 
IMAM AHMAD BIN AMBAL 
IMAM ISAQ 
OR ALHE MADINAH KA YHI QUAL THA 

IBNE MASOOD SE BHI 9 TAKBEER NAMAZ-E- EID MARWI HE 
IBNE MASOOD 5 TAKBEER QIRAT SE PAHLE 
DUSHRI RAQAT ME QIRAT KE BAD 4 TAKBEER KAHTE THE JISME RAQU BHI SAMIL THA 

BAHUT SE SHAHABA OR ALHE KUFA OR SUFFIYAN AL THAWRI KA YHI QUAL THA 

IMAM MALIK SE NAFE NE UNSE ABDULLAH BIN UMAR SE 
UNHONE ABU HURAIRA KE PICHE EID KI NAMAZ PADHI UNONE NAMAZ ME
PAHLI RAQAT ME 7 TAKBEER 
DUSHRI RAQAT ME 5 TAKBEER KAHI 

MUWATTA IMAM MALIK HADITH NO . 439 GOLDEN CHAIN 
--------------------------------------------

MASLA :- 8 TAKBEER  NAMAZ-E-EID  

HAJRAJ AAISHA R.A.SE RIWAYAT HE KI SAYED BIN AAS NE APNE ABHU MUSA ASHRI OR HUZEFA BIN YAMAN SE PUCHA KI 
NABI SALLALLAHU WASSALLAM EID-UL-FITR OR EID-UL-AZZA PER KITNI TAKBEER SE NAMAZ PADHATE THE 
ABU MUSSA ASHRI NE KAHA 4 TAKBEER JESE JANAZA ME HOTI HE 
HUZEFA NE KAHA UNHONE SACH KAHA 
ABU MUSSA NE KAHA KI JAB ME BASRA ME LOGO PER AMIR THA TO ISI PARKAR TAKBEER KAHA KARTA THA 

SUNNAN ABHI DAWOOD HADITH NO . 1154 SAHIH (HASAN -SAHIH BY SHAIKH ALBANI ) 

ISH HADITH KI EK DUSHRI SANAD IBNE MASOOD R.A. SE BHI MARWI HE 

MUSSNAF ABDUL RAZZAQ HADITH NO . 5687 
SAHIH BY 
MULLA ALI QARI 
IMAM HASMI 
IMAM HAJR ASQALNI 


HAJRAT ABDULLAH BIN MASOOQ R.A.
NAMAZ-E-EID ME 9 TAKBEER KAHA KARTE THE 
PAHLI RAQAT ME 5 TAKBEER 
OR DUSHRI RAQAT ME 4 TAKBEER KAHA KARTE THE 

JAME TIRMIZI HADITH NO . 536 KI SARAH 
ISHKI SANAD MUSSNAF IBNE ABI SHIBA ME MOUJD HE 

MUSSNAF IBNE ABHI SHIBA HADITH NO . 5746-5747 
MUSSNAF ABDUL RAZZAQ HADITH NO . 5689 SAHIH BY IMAM HAJR ASQLANI 

--------------------------------------------------------------------

ASSLAMUILEKUM 

ILLMI POINT'S 

1. TAKBEER KAHNA SUNNAT HE 12-9 YA 8 SUNNAT SE MOHBBAT RAKHE AAPAS ME NA LADE 

2.JANAZA ME 4 TAKBEER  
JAME TIRMIZI HADITH NO . 1022 ME

JANAZA KI NAMAZ ME 5 TAKBEER 
JAME TIRMIZI HADITH NO . 1023 

IMAM AHMAD OR ISAQ KAHTE HE KI IMAM KO FOLLOW KARO   

3. IMAM KO FOLLOW SE MURAD AGER AMAL QURAN HADITH KI ROSHNI ME SABIT HONA CHAHIYE 

4. YHA SABIT HE 12-9-8 TAKBEER ---------------------------------------------------------

CHAND ME IKHTLAF OR SAUDI ARAB ME EK DIN PAHLE EID -HAQ BAT SABKE SATH

ASSLAUILEKUM WA RAHAMTULLAHE WA BAKATU

" NAMAZ KAYAM KARE - ZAQAT AADA KARE - FARZ ROZE RAKHE ACHE KAM KARE "

AAPAS ME MIL JUL KARE RAHE OR RAMZAN ME KHUB IBADAT KARE OR DUAA KARE HAM SABO ALLAH NEK RASTE PER CHALA HAMARE GUNAHO KO MAF KARE

-------------------------------------------------------------------
MASLA  :- MADINA OR (SHAM)SYRIA ME ALAG ALAG CHAND   

HADITH NO. 1
KURAB R.A. KAHTE HE KI  IBNE ABBAS KI WALIDA UMME FAZAL NE MUJHE SHAM(SYRIA) ME HAJRAT MAWIYA R.A. KE PASS BEJA CHUNACHE SAAM(EVENING )
ISI DORURAN KAM MUKAMMAL HUWA OR RAMZAN KA CHAND NAZAR AAGYA 
HAME JUMA KI RAAT KO CHAND DEKHA 

FIR MAHINE KE LAST ME ME MADINA AA GYA 
TO IBNE ABBAS NE MERA HAL CHAL PUCHA CHAND KE BARE ME ZIKAR KIYA 
TUMNE USE KAB DEKHA 
MENE KAHA JUME KI RAT KO 

IBNE ABBAS NE KAHA  KYA TUMNE KHUD NE DEKHA 

MENE KAHA HA MENE DEKHA OR SATH ME DUSHRE AADMI KI GAWAHI BHI OR SAB NE ROZA RAKHA HAJRAT MAWIYA NE BHI ROZA RAKHA 

IBNE ABBAS NE FARMAYA LEKIN HAME TO SANIWAR (SATURDAY) KI RAAT KO CHAND DEKHA OR HAME ROZE RAKHE 

PURE 30 RAKHEGE YA CHAND DEKHEGE 
MENE KAHA AAP MAWIYA R.A. KE CHAND DEKHANE OR ROZA RAKHNE  KO KAFI NHI SMJHTE 

IBNE ABBAS NE KAHA NABI SALLALLAHU WASSALLAM NE HAME ESA HI KARNE KA AADESH DIYA HE 
  

SUNNAN ABI DAWOOD HADITH NO . 2332 SAHIH 

NOTE:- MADINA OR SYRIA BICH 1647 K.M. KA DISTANCE HE AGER ITNE ME CHAND ALAG ALAG DATTE ME NAZAR AASAKTA HE TO JAHIR HE DUNIYA BAHUT BADI HE OR BHI JAGAH AA SAKTA HE 

SMJHDAR KO ESARA KAFI HE BAKI FIRQAPARAST KO ASSLAMUILEKUM 

MASLA  :- RAMZAN OR EID KE CHAND DEKHNE KI GAWAHI 

HADITH NO. 2
ABDULLAH BIN OMAR SE RIWAYAT HE KI LOGO NE CHAND DEKHNE KI KOSIS KI TO MENE NABI SALLAHU WASALLLAM KO KABAR DI KI MENE CHAND DEKH LIYA HE TO NABI SALLAHU WASALLAM NE ROZA RAKHA OR SABKO KO RAKHNE KA HUKUM DIYA 

SUNNAN ABI DAWOOD HADITH NO . 2342 SAHIH 

NOTE :- NEK AADMI KI GAWAHI 

MASLA :- SAK BINA ME ROZA RAKHNA MANA HE  

HADITH NO. 3
AAMMAR BIN YASIR R.A. SE RIWAYAT HE KUCH LOG KIDMAT ME HAZIR HUWE TO UNHONE MATTAN PESH KIYA TO KUCH LOG SAK SUBA ME ALAG HO GYE ROZA RAKHE HUWE THE TO AAMAR BIN YASIR NE KAHA JIS NE SAK ME ROZA RAKHAN USHNE NABI SALLAHU WASALLAM KI MUKHALIF KI HE 

SUNNAN ABI DAWOOD HADITH NO . 2334 SAHIH 

NOTE :- 29 SABBAN KO AGER CHAND NAZAR NA AAYE TO SAK M ROZA RAKHNA JAIZ NHI APNI 30 KI GINTI PURI KARE 

HADITH NO. 4
HAJRAT AAISHA R.A. SE RIWAYAT HE KI NABI SALLAHU WASALLAM 29 KI SABBAN KO JAB CHAND NAZAR NHI AATA TO SABBAN KI 30 GINTI PURI KARTE OR FIR ROZA RAKHTE 

SUNNAN ABI DAWOOD HADITTH NO. 2325 SAHIH 

NOTE :- SAK ME ROZA NA RAKHE AGER CHAND NHI DIKHA HE TO GINTI PURE KARE 30 KI ALLAH BAHTAR JANTA HE  
-------------------------------------------------------------------
ASSLAMUILEKUM WA RAHAMTULLAHE WA BARKATU 

ILLMI POINT 

1. CHAND DEKHNA OR NEK AADMI KI GAWAHI HONI JARURI HE 

2. SYRIA OR MADINA K BICH 1647 K.M. KA DISTANCE HE AGER WAHA ALAG ALAG TO DUSHRE MULK BHI AA SAKTA HE 

3. "CHAND EK TO EID BHI EK " YE BAT KAHA LIKHI HE OR KISKA DAWA QURAN HADITH SE SABIT KARE 

4. AGER CAMRE SE SATELITE SE CHAND DIKH GYA AKAL KE ANDHO SATELITE SE TO FIR EID KA BHI CHAND DIKH JAYEGA 

5. KYUKI YE ALLAH KA NIJAM HE SURAJ CHAND OR PRITHVI JAB DIRECTION ME AATE HE TO YE SAB HOTA HE 

KISI JAGAH DIN HE KISI JAGAH RAT HE YE ALLAH KI NISHANI HE 


THODA ILLM BHI OR AKAL SE BHI KAM LO

NAMAZ KAYAM KARE, ZAQAT DE , FAZR ROKHE RAKHE ,INSHA ALLAH HAJJ KARE NEK KAMO KI NASIHAT DE OR BURE KAM SE DUR RAHE 

OR JAHILO SE NA ULJHE 

---------------------------------------------------------------------------  



JALSA E ISTIRAHAT -HAQ BAT SABKE SATH

ASSLAMUILEKUM ....WARAM TULLAHE WA BARKATTU ...

NAMAZ KAYAM KARE ROZA RAKHE HAQ BAT OR NEK BAT KA HUKUM DE ZAQAT DE SABHI MILKAR PYAR SE RAHE 

--------------------------------------------------------

MASLA :- JALSA-E- ISTIRAHAT KISE KAHTE HE 

JALSA-E-ISTIRAHAT JAB NAMAZ ME ODD RAQAT PADHTE HE TO USHME KUCH DER BETH KAR BACKBONE SIDHI KARKE FIR APNE HATHO KE BAL KHADE HONA 


MASLA :- JALSA-E- ISTIRAHAT KI DALEEL QURAN HADITH 

HADITH NO . 1
MALIK BIN HAWARITH SR RIWAYAT HE KI NABI SALLALLAHU WASSALLAM NAMAZ KI TAQ RAQAT ODD ME PAHLE BETH TE FIR KADE HOTE 

SAHIH BUKHARI HADITH NO . 823 

HADITH NO . 2
ABU QIBALAH SE RIWAYAT HE KI EK BAR MALIK BIN HUWARITH NE HAME NAMAZ PAD KAR BTAI KI NABI SALLALLHU WASSLAM ESE NAMAZ PADHA KARTE THE 

JAB UNHONE NAMAZ PADHAI TO DUSRA SAJDA PAHLI RAQAT ME KIYA FIR KUCH DER  BETTH KAR APNE HATHO KE BAL KHADE HUWE DUSHRI RAQAT K LIYE 

SAHIH BUKHARI HADITH NO . 824

HADITH NO . 3
ABU HURAIRA SE RIWAYAT HE 
EK SAKSH MASJID ME NAMAZ PADHNE K LIYE AAYA 
TO NABI SALLALLHU WASSLAM NE KAHA JAO DUBARA PADHO NAMAZ 

USHNE FIR NAMAZ PADHI 
NABI SALLALLHU WASSLAM NE KAHA JAO DUBARA PADHO 

USHNE FIR PADHI 
NABI SALLALLHU WASSLAM JAO DUBARA PADHO 

FIR USH SAKSH NE KAHA E-ALLAH KE RASUL MUJHE AAP SIKHAIYE ME ISH SE BAHTAR NHI JANTA 

FIR NABI SALLALLHU WASSLAM NE USE NAMAZ SIKHAI 

QIBLE KI TRAF MUH KARKE TAKBIR KAHO ALLAH HU AKBAR 

FIR QURAN SE JO TUMHE YAAD HO PADHO (LIKE SURAH FATIHA)
FIR IMTINAN SE RAQU KARO 
FIR IMTINAN SE SAJDA KARO 
FIR JAB DUSHRA SAJDA KAR LO TO KUCH DER BETH JAO FIR ESE HI APNI APNI PURI NAMAZ ADA KARO 

SAHIH BUKHARI HADITH NO . 6251

MASLA :- JALSA-E-ISTIRAHAT NA KARNE KI DALEEL 

HADITH NO . 4
ABU HURAIRA SE RIWAYAT HE 
EK SAKSH MASJID ME NAMAZ PADHNE K LIYE AAYA 
TO NABI SALLALLHU WASSLAM NE KAHA JAO DUBARA PADHO NAMAZ 

USHNE FIR NAMAZ PADHI 
NABI SALLALLHU WASSLAM NE KAHA JAO DUBARA PADHO 

USHNE FIR PADHI 
NABI SALLALLHU WASSLAM JAO DUBARA PADHO 

FIR USH SAKSH NE KAHA E-ALLAH KE RASUL MUJHE AAP SIKHAIYE ME ISH SE BAHTAR NHI JANTA 

FIR NABI SALLALLHU WASSLAM NE USE NAMAZ SIKHAI 

QIBLE KI TRAF MUH KARKE TAKBIR KAHO ALLAH HU AKBAR 

FIR QURAN SE JO TUMHE YAAD HO PADHO (LIKE SURAH FATIHA)
FIR IMTINAN SE RAQU KARO 
FIR IMTINAN SE SAJDA KARO 
FIR JAB DUSHRA SAJDA KAR LO TO SIDHE KADE HO JAO 
OR ESE HI APNI NAMAZ PADHA KARO 

SAHIH BUKHARI HADITH NO . 6667 


--------------------------------------------------------
ASSLAMUILEKUM 

ILLMI POINT'S 

1. SAHIH BUKHARI KI HADITH NO . 6251 OR 6667 DONO ABU HURAIRA SE RIWAYYAT HE OR DONO NABI SALLALLHU WASSLAM NE NAMAZ SIKAHI LEKIN EK ME JALSE-E-ISTIRAHT KA JIKAR HE DUSHRE ME NHI HE 

2. JAYAZ HE LEKIN WAJIBAT ME NHI HE OR JO KARTA HE OR JO NHI KARTA PLZ AAP SAB SE REQUEST HE KI AAPAS ME NA LADE 

3. MOHBBAT BNAYE RAKHE 
---------------------------------------------------------


NAMAZ -E- TASHAH-HUD KE MASAIL - HAQ BAT SABKE SATH ONLY QURAN HADITH

ASSLAMUILEKUM ....WARAM TULLAHE WA BARKATTU ...

NAMAZ KAYAM KARE ROZA RAKHE HAQ BAT OR NEK BAT KA HUKUM DE ZAQAT DE SABHI MILKAR PYAR SE RAHE 
--------------------------------------------------------------------------------
MASLA :- TASHAH-UD KA SUNNAT TARIKA QURAN HADITH 

HADITH NO . 1 TASHAH-HUD KHAMOSI SE BETH KAR PADHNE KA BYAN

ABDULLAH BIN MASOOD  SE RIWYAT HE KI
YE SUNNAT HE KI TASHAH-HUD BETH KAR KHAMOSI SE PADHA JAYE SIRI AAWAJ ME

JAME TIRMIZI HADITH NO . 291 SAHIH
ABHU DAWOOD HADITH NO . 986 SAHIH

MASLA :- BICH KA TASHAH-HUD MUKHTASAR PADHNA    

---------------------------------------------------------

HADITH NO .2 TASHAH-HUD ME BETHNE KA BYAN 

ABDULLAH BIN UMAR SE RIWAYAT HE KI NABI SALLALLAHU WASALLAM NE FARAMAYA KI NAMAZ ME DAYA (RIGHT) PAIR (FOOT) KHADA KARO OR LEFT PAIR (FOOT) FELLA DO KYUKI MERE PAIR SARIR KA BHOJ NHI UTHA SAKTE

SAHIH BUKHARI HADITH NO . 827 ,828
JAME TIRMIZI HADITH NO . 292 SAHIH

IMAM TIRMIZI NE FARMAYA YE HADITH HASAN SAHIH HE

SUFFIYAN AL THWRI
AL MUBHARAK OR ALHE KHUFA KA YHI AMAL THA

---------------------------------------------------------------- HADITH NO .3 TASHAH-HUD KYA PADHE (SALAM)

ABDULLAH BIN MASHOOD R.A. SE RIWAYAT HE KI HAME NABI SALLALLAHU WASALLAM NAMAZ PADHA RAHE THE TO HAM KAHTE
ASSLAMU ALALLAHI KAB-L-EBADILAHI
(ZIBRAHIL A.S PER  SALAM MIKAIL PER SALAM FALA PER SALAM FALA PER SALAM)
ESE MAT KAHA KARO ALLAH TO KHUD HI SALAM HE

TASHAH-HUD ME YE PADHA KARO
OR JAB TUM 
ASH-HADU AN- LA ILAHA ILLALLAHU PADHOGE TO YE DUAA ALLAH TALA HAR USH NEK BANDE TAK PAHUCHA DEGA 

At-tahiyãtu lillähi wassalawatu
wa-taiyibatu. As-Salamu alaika
aiyuhan-Nabiyyu warahmatul-lãhi wa
barakãtuhu. As-Salami 'alainã wa 'ala
'ibãdillah ialihin

Ash-hadu an lã-ilãha ill-
Allahu wa ash-hadu anna Muhammadan

'abduhü wa Rasüluhu

SAHI BUKHARI HADITH NO . 831 ,835
SUNNAN ABI DAWOOD HADITH NO . 968 SAHIH 
SUNNAN NISAI HADITH NO . 1279 SAHIH 
JAME TIRMIZI HADITH NO . 289 SAHIH 

IMAM HAJAR ASQALANI NE 20 SE JYADA HADITH OR 20 SE JYDADA SAHABI KA AMAL HE ISH PER 

IMAM TIRMIZI FARMATE HE KI YE HADITH TASHAHU-HUD KE SAHI CHAIN HE 
OR SABHI KA ISHPER ALAM HE 
SUFFIYAN AL THWRI 
IBNE AL MUBARAK 
AHMAD BIN HAMBAL 
MOLANA ISAQ

AHMAD BIN MOHAMMAD BIN MUSSA KAHTE HE KI 
HAME AL MUBHARAK NE FARMYA UNSE MA'MAR NE OR UNSE KHUSAIF NE 
UNHONE FARMAYA KI EK RAT NABI SALLALLAHU WASALLAM MERE SAPNE ME AAYE OR MENE KAHA KI LOG TASHAH-HUD PER AMAL NHI KARTE 
NABI SALLALLAHU WASALLAM NE FARMAYA KI IBNE MASOOD KA TASHAH-HUD  
NOTE :- YANI UN NSE RIWAYAT JO  UPER HE WO FOLLOW KARO   


----------------------------------------------------------------
HADITH NO . 4 TASHAH-HUD ME DUSHRI  BHI SABIT HE 

IBNE AABAS R.A. SE RIWAYAT HE KI NABI SALLALLAHU WASALLAM NE TASHAH-HUD SIKHAYA 

At- Taiiiyyatu, al-mubarakatu, assalawatu
at-ta)yibatulillah. Salamun
'alaika ayyuhan-nabiyyu wa
rahmatullahi wa barakatuhu,
salamun 'alainã wa 'ala 'ibãdillãhissãlihin.
Ashhadu an lã ilaha illallãh,
wa ashhadu anna Muhammadan

'abduhu wa Rasuluh.

JAME TIRMIZI HADITH NO . 289 SAHIH 

IMAM TIRMIZI FARMATE HE KI YE HADITH HASAN-SAHIH -GARIB HE 
ABDUL RAHMAN BIN HUMAID AL RUASI  YE HADITH ABU AZ ZUBAIR SE RIWAYAT 

AL LAITH BIN SAD SE BHI RIWYAT HE
IMAM SHAFI KA ISH HADITH PER AMAL THA WO TASHAH-HUD ME PADHTE THE

----------------------------------------------------------------
HADITH NO . 5 TASHAH-HUD ME DARUD-E-IBRAHIM 

ABU MUSSA AL-ANSAIR SE RIWAYAT HE KI NABI SALLALLAHU WASALLAM JAB NAMAZ ME TASHAH-HUD ME YE DUAA DARUD PADHTE 

Alahumma salli 'ala Muhammad wa 'ala ali Muhammad, 
kama sallaita 'ala Ibrahima 
wa barik 'ala Muhammad kama barakta 'ala ali Ibrahim fil-'alamin,
 innaka hamidun majid

SUNNAN NISAI HADITH NO . 1286 SAHIH

----------------------------------------------------------------

HADITH NO.6-  DARUD PADHNE KA BYAN


NABI SALLAHU WASALLAM NE FARAMAYA DURUB PADHO 


Alahumma salli 'ala Muhammad wa 'ala ali Muhammad

SUNNAN NISAI HADITH NO . 1292 HASAN 
----------------------------------------------------------------

HADITH NO .7 -DARUD KE BAD DUAA MAGNE KA BYAN  

NABI SALLAHU WASALLAM TASHAH-HUD ME YE DUAA MAGTE 

Allahumma inni a`udhu bika min `adhabi l-qabr, wa a`udhu bika min fitnati l-masihi d-dajjal, wa a`udhu bika min fitnati l-mahya wa fitnati l-mamat. Allahumma inni a`udhu bika mina l-ma'thami wa l-maghram

SAHIH BUKHARI HADITH NO . 832-833 

--------------------------
HADITH NO .8  DUSHRI DUAA BHI SABIT HE 
NABI SALLAHU WASALLAM TASHAH-HUD ME YE DUAA MAGTE

Allahumma inni zalumtu nafsi zulman kathiran, Wala yaghfiru dh-dhunuba illa anta, fa ghfir li maghfiratan min `indika, wa r-hamni, innaka anta l-ghafuru r-rahim

SHAHI BUKHARI HADITH NO . 834

----------------------------------------------------------------

HADITH NO .9  TASHAH-HUD ME HAMD (ATTTYAT ,DURUD,DUAA )
 NABI SALLAHU WASALLAM  WITR 9 RAQA KI NAMAZ 8TH RAQAT ME JAB BETH JATE TASHAH-HUD ME TAB 

ALLAH KI HAMD BYAN KARTE (ATT-HIYAT ) DURUB SARIF (DARUB IBRAHIM ) OR DUAA  MAGTE THE 



SUNNAN NISAI HADITH NO . 1720-21 SAHIH 

NOTE :- BICH KE TASHAH-HUD ME PADHNA MASHTAHB HE WAJIB NHI 

----------------------------------------------------------------

MASLA :- TASHAH-HUD ME UNGLI HILANA SETAN PER SAKHT

HADITH NO . 10 
IBNE UMAR NAMAZ ME JAB TASHAH-HUD ME BETH TE SHAHADAT KI UNGLI SE ESARA FARMATE OR KAHTE NABI SALLALLAHU WASALLAM NE FARMAYA

KI SHAHDAT KI ANGULI SETAN PER LOHE SE BHI SAKT HE 

MUSNAD E AHMAND HADITH NO . 6000 
MISHQAT SARIF HADITH NO . 917 

----------------------------------------------------------------

MASLA :- TASHAH-HUD ME UNGLI SE ISHARA OR USE HILANA HAQ BAT

HADITH NO . 11
ALI BIN ABDULL RAHMAN SE BYAN HE KI MUJHE ABDULLAH BIN UMAR NE DEKHA THA ME NAMAZ ME  KAKRIYA(CHOTE PATTHER) SE KHEL RHA HUTO JAB VE FARIG HUWE TO  KAHA ESA NA KARO MENE KAHA FIR NABI SALLALLAHU WASALLAM KESE KIYA KARTE THE 
NABI SALLALLAHU WASALLAM JAB NAMAZ ME BETH TE APNE DAYE (RIGHT) HATH KO APNI RIGHT RAAN (FOOT GUTNA) PER RAKHTE 
APNI SARI ANGULIYA BAND KAR LETE OR AGUTHE KE SATH WALI ANGULI SE ESARA FARMATE 

OR APNE LEFTT HATH KO LEFT RAAN (FOOT GUTNA ) PER RAKHTE 

SUNNAN ABHI DAWOOD HADITH NO . 987 SAHIH 
JAME TIRMIZI HADITH NO . 294 SAHIH 

YE HADITH ABDULLAH BIN ZUBAIR SE BHI MARWI HE 

WO FARMTE HE KI NABI SALLALLAHU WASALLAM APNI ANGULI SE ESARA FARMATTE 

ABDULL WAHID NE HAME DIKHAYA OR SAHADAT KI UNGLI SE ESARA KIYA 

SUNNAN ABHI DAWOOD HADITH NO . 988 SAHIH  
----------------------------------------------------------------

MASLA :- UNGLI SE ESARA OR SATH ME HARQAT DENA 

HADITH NO . 12
WAYL BIN HUJAR R.A.HE KI  NABI SALLALLAHU WASALLAM KHADE HUWE QIBLA RUKH MUH KIYA ALLAH HUAKABR  KAHA 
APNE DONO HATHO KO UTHAYA 
YAHA TAK KI AAPKE KANO KE BARABER 
FIR DAYA HATH KO BAYE HATH PER RAKHA 
FIR RAQU JATE RAQU SE SAR UTHATE 
FIR TASHAH-HUD ME BETTH JATE OR UNGLI SE ESARA FARMTE OR DUAA KE SATH HARKAT DETE DUAA KE SATH 

SUNNAN NISAI HADITH NO . 890 SAHIH 
MISQAT SARIF HADITH NO . 911 SAHIH 
SUNNAN ABU DAWOOD HADITH NO . 957 SAHIH 

MASLA :- UNGLI SE ESARA LEKIN HARKAT NA DENA 
----------------------------------------------------------------

HADITH NO . 13
ABDULLAH BIN ZUBAIR SE RIWYATA HE KI NABI SALLALLAHU WASALLAM JAB DUAA KARTE TO APNI UGLI SE ESARA KARTE OR USE HARKAT NA DETE 

IBNE ZURAIZ NE KAHA KI AMAR BIN DINNAR NE BHI YAHI KAHA KI MUJHE AAMIR KE FATHER NE APNE FATHER KE HAWALE SE BYAN KIYA 
NABI SALLALLAHU WASALLAM ISHI TTRAH ESARA KARTE ..

SUNNAN ABHI DAWOOD HADITH NO . 989 SAHIH BY SHAIKH ALBANI 

----------------------------------------------------------------

MASLA :- TASHAH-HUD UNGLI SE ESARE K WAKT  ME NAZAR KAHA HO

AMAIR BIN ABDULLAH BIN ZUBAIR  SE RIWAYAT H KI APNE FATHER KE HAWALE SE NABI SALLALLAHU WASALLAM KI NAZAR AAPKE ESARE SE AAGE NA BADHTI OR HAJJAZ KI HADITH ISH SE ADHIK KAMIL HE 

SUNNAN ABHI DAWOOD HADITH NO . 990 HASAN -SAHIH  
----------------------------------------------------------------
MERA KOI FIRQA NHI HE NA HI M KISI FIRQE KI SUPPORT KARTA HU 
ME MUSLIM HU OR SIRF QURAN SAHIH HADITH PER AMAL KARTA HU 
ISHLIYE ME EK MASLE ME SABHI HAQ BYAN KARTA HU 

ALLAH TALA HAM SAB KE GUNAH MAF KARE OR HAME MIL JUL KAR RAHE KI TOFIK AATA KARE 

OR SABHI HAJRAT SE EK OR GUZARISH HE KI AAPAS ME NA LADE JISE NABI SALLAHU WASALLAM KI JITNI SUNNAT SE MOHABBAT HE WO UTNI USH PER AMAL KARE 

PYAR SE RAHE MOHBBAT SE RAHE MIL KAR RAHE 

HAQ BAT SABKE SATH
----------------------------------------------------------------

















Popular Posts